Ya nabi aapke jalwon mein wo ranaayi hai
Dekhne par bhi meri aankh tamannayi hai
Haq-taala bhi kareem, aur Mohammed bhi kareem
Do kareemon mein gunahgaar ki bann aayi hai
Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein
Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein
Dukh dard-o-alam gham katt-tay hain
Hasnain ke sadqay batt-tay hain
Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein
Khaday huwe hain sar-e-rehguzar madinay mein
Hazaaron shamme hazaaron qamar madinay mein
Sataale jitna sataaye mujhe gham-e-doori
Nikaal dhoop mein saari kasar, Mohammed ke shaher mein
Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein
Kuch aisi bheed lagjaati hai shah-e-deen ke rozay par
Hawaa ko raasta mushkil se milta hai
Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein
Hawaayen bhi adab ke saath chalti hain
Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein
Ghamon se jab bhi tabiyet malool hoti hai
Toh shaabgaam banaam-e-rasool hoti hai
Khud is duwa mein Mohammed ka waasta shaamil
Huzoor-e-haq mein yakeenan qubool hoti hai
Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein
Haath mein tasbeeh baghal mein musalla
Lab pe jaari Allah Allah
Kehti hui pohunchi Baitullah
Aur pukaari aye mere Allah
Too gada ko jo nawaaze toh shahenshah banay
Aur yateemon ko jo chahe toh payyambar karde
Aye mere Allah
(Toh sadaa parde se aayi)
Mere parde mein wehdat ke siwa kya hai
Jo toh tujhe lena hai lay
Mohammed ke shaher mein, Mohammed ke shaher mein
Kyun aa ke ro raha hai, Mohammed ke shaher mein
Kyun aa ke ro raha hai, Mohammed ke shaher mein
Har dard ki dawaa hai, Mohammed ke shaher mein
Har dard ki dawaa hai, Mohammed ke shaher mein
Aao gunahgaaron chalo sarr ke ball chalen
Chalo sarr ke ball chalen
Wo bargaah-e-naaz-e-rasool-e-arabi hain
Palkon ka jhapakna bhi wahan pe adab hi hai
Chalo sarr ke ball chalen
Wahan sarr jhukaate hain Auliya
Wahan paon rakhna rawaan nahi
Nazaan hai jis pe husn wo husn-e-rasool hai
Ye kehkashaan toh aapke kadmon ki dhool hai
Taiba ke raaste ka toh kaanta bhi phool hai
Aye rehrawaan-e-shaukh chalo sarr ke ball chalen
Chalo sarr ke ball chalen
Begaana-e-irfaan ko haqeeqat ki khabar kya
Jo aapse waakif na ho, wo ahl-e-nazar kya
Manzoor-e-nazar kaun hua iski khabar kya
Wo fazl pe ajaye toh phir aib-o-hunar kya
Taamil ko darr-e-yaar ke sajdon se na roko
Qurbaan jahan dil ho, wahan keemat-e-sarr kya
Chalo sarr ke ball chalen
Aao gunahgaaron chalo sarr ke ball chalen
Tauba ka darr khula hai, Mohammed ke shaher mein
Tauba ka darr khula hai, Mohammed ke shaher mein
Tauba ka darr khula hai, Mohammed ke shaher mein
Kadmon ne unke khaak ko kundan banadiya
Kadmon ne unke khaak ko kundan banadiya
Teri nigaah se jalwe bhi mehr-o-maah banay
Jagaye besar-o-samaan jahan panaah banay
Huzoor hi ki karam mein diye tasalli bhi
Huzoor hi mere gham mein meri panaah bane
Wohi maqaam mohabbat ke jalwa-gaah banay
Jahaan jahaan se wo guzre jahan jahan pohunchay
Kadmon ne unke khaak ko kundan banadiya
Kadmon ne unke khaak ko kundan banadiya
Mitti bhi Keeniya hai, Mohammed ke shaher mein
Mitti bhi Keeniya hai, Mohammed ke shaher mein
Sadqa lutaa raha hai, Khuda unke naam ka
Sona nikal raha hai, Mohammed ke shaher mein
Sona nikal raha hai, Mohammed ke shaher mein
Sab toh jhuke hain khana-e-kaaba ke saamne
Kaaba jhuka hua hai, Mohammed ke shaher mein
Hajiyon aao shahenshaah ka roza dekho
Kaaba ko dekh chuke kaabe ka kaaba dekho
Madina wo hai ke ye ja ja ke sajda karta hai
Kaaba jhuka hua hai, Mohammed ke shaher mein
Phool gulaab ka aapke chehre jaisa lagta hai
Aur chamakta chaand nabi ka talwa lagta hai
Kaaba khud taiba ki jaanib jhukta lagta hai
Kaabe ke kaaba sarkaar ka roza lagta hai
Kaaba jhuka hua hai, Mohammed ke shaher mein
Saaya nahi hai gumbad-e-khizra ka abidi
Khicha kuch is milaal-i-shaan se naksha Mohammed ka
Ke naqqash-e-azal bhi hogaya shaida Mohammed ka
Koi kya dekhta aks-e-kadd-e-wala Mohammed ka
Saraapa noor tha wo kaamat-e-sebaa Mohammed ka
Kisi waaiz nazar aata na tha sayaa Mohammed ka
Saaya nahi hai gumbad-e-khizra ka abidi
Zinda ye mojeza hai Mohammed ke shaher mein
Aye ‘Raaz’ too toh HIND mein maujood hai magar
Din raath padh raha hai Mohammed ke shaher mein
Poocho usi se kya hai Mohammed ke shaher mein
Ek baar jo gaya hai Mohammed ke shaher mein
Taalib hain unse auliya aur ambiya tamaam
Bakshish karam ataa hai Mohammed ke shaher mein
Sairaab kar rahi hai jo saare jaahan ko
Rahmat ki wo ghata hai Mohammed ke shaher mein
Duniya ke khaak chaanke jo kuch na paa saka
Sab kuch usay mila hai, Mohammed ke shaher mein
Sab kuch usay mila hai, Mohammed ke shaher mein
Tanweer kibriya hai Mohammed ke shaher mein
Jalwon ka silsila hai Mohammed ke shaher mein
Laazim hai ehteraam ke nazron se dekhna
Kya jaane koun kya hai Mohammed ke shaher mein
Har shaks ki zubaan se dauraan-e-guftgoo
Quraan bolta hai Mohammed ke shaher mein
Quraan bolta hai Mohammed ke shaher mein
Baab-e-asar khula hai Mohammed ke shaher mein
Maqbool har dua hai Mohammed ke shaher mein
Dhoka fareb jhoot dagha aur kalaam badd
Koi na jaanta hai Mohammed ka sheher mein
Behre salaam aate hain hardam malayeka
Jaari ye silsila hai, Mohammed ke shaher mein
Dhoonda khuda ko dhoondne waalon ne har jagah
Lekin khuda mila hai, Mohammed ke shaher mein
Lekin khuda mila hai, Mohammed ke shaher mein
Allah Abu Turaab ke sajda ke ehmiyat
Suraj palat raha hai, Mohammed ke shaher mein
Suraj palat raha hai, Mohammed ke shaher mein
Ek roz ibrahim se namrood ye kehne laga
Sab toh kehte hain mujhe, too kyun nahi kehta khuda
Bole ibrahim pehle waada kar is baath ka
Maghrib se suraj ko utha, beshak too phir mera khuda
Ek roz ka hai waqiya, aye mominon sunna zara
Zaanon pe sarr rakh ke ALI ke so rahe thay Mustafa
Waqt-e-asar jaata raha, maghrib ka waqt aane laga
Is fikr mein sher-e-khuda ronay lagay
Ansoo rooh-e-Mohammed par giray
Uththay Mohammed Mustafa, bole Mohammed Mustafa
Rotay ho kyun sher-e-khuda
Ranjh hai tumhe kis baath ka
Bole Ali-e-murtaza, waqt-e-asar jaata raha
Kaise karoon sajda adaa
Bole Mohammed Mustafa, aao idhar sher-e-khuda
Ungli shahadat ki utha, maghrib ki jaanib ko kiya
Maghrib se suraj phir utha, waqt-e-asar phir hogaya
Allah Abu Turaab ke sajda ke ehmiyat
Suraj palat raha hai, Mohammed ke shaher mein
Suraj palat raha hai, Mohammed ke shaher mein
No comments:
Post a Comment